Dil Ka Funda Song Lyrics - Sharafat Gayi Tel Lene | Jubin Nautiyal

Saturday, 13 December 2014

Music: Meet Bros Anjjan
Singers: Meet Bros & Khushboo Grewal
Lyrics: Kumaar

Dil Ka Funda Song  Lyrics

Dil ka funda dil dene wala hi jaanta hai
Khushi ka sama hai jane kyu khushi se darta hai

Dil ka funda dil dene wala hi jaanta hai
Khushi ka sama hai jane kyu khushi se darta hai
Meri jaan kurbaan ye dil magar
Meri jaan anjaana sa hai ye safar
Na bangla na mehangi gaadi
Sapne hain mere paas
Dene ko hai bas mera dil
Phir bhi aaogi kya mere saath, aaogi kya?

Tu mila toh hua laqeeron par mujhe yaqeen
Har kadam chalenge sang tere yaar
Maang loon tujhse kya
Tujhse meri zindagi
Chahiye bas ek zara sa pyaar

Meri jaan nadaan hai tu is kadar
Meri jaan samjhana hai be-asar
Na bangla na mehangi gaadi
Sapne hain mere paas
Dene ko hai bas mera dil
Phir bhi aaogi kya mere saath, aaogi kya?

Na kabhi tha gila, na koi shiqayatein
Chun liya tu apna hai
Paa liya jo tujhe na koi ab hasratein
Toot na jaaye sapna hai

Dil ka funda dil dene wala hi jaanta hai
Khushi ka sama hai jane kyu khushi se darta hai
Meri jaan meherbaan jo tu mujhpe agar
Meri jaan ban ja na meri humsafar
Na bangla na mehangi gaadi
Sapne hain mere paas
Dene ko hai bas mera dil
Phir bhi aaogi kya mere saath, aaogi kya?

Phir bhi aaungi main tere saath
Aaungi main....
Share
 
Copyright © 2015 Red World Web | Entertainment | Tutorials | Make Money | Wordpress
Distributed By My Blogger Themes | Design By Herdiansyah Hamzah